Chalo aaj phir,
Hum tum,
Yaadon ke pedh se kisse kahaniyaan todhein!
Yaadon ki shatranjee par,
Hum dono,
Kohniyon ke bal letey,
Ek dusrey ki aankhon mein,
Purana-khatm hua pyaar phir tatolein!
Tum kuch hansee saath le aana,
Mein kuch thahake 'ORDER' kar doonga!
Roothna-Manana-Zid,
Sab pehle sa rehna dena!
Saalon ki baasi talkhi,
Jayaz-Najayaz naraazi,
Sachche-jhoothey shiqwey-shikayaton ko,
Hum dono milkey,
Wahin aas-pass kisi gadhdhe mein dafna dengey!
Jara dhyan se dekhna,
Mein ab boodha ho chala hun,
Chashme ka number badh gaya hai aur baal kam,
Kandhe bhi jhuk chale hain,
Maine tumhe saalon se dekha nahin,
Ab pata nahin kaisi dikhti ho?
Mere khayalon mein toh ab bhi waisi hi ho,
Akhiri baar jaisa dekha tha tumhe,
Adalat ke seeley aur dum todhne wale kamrey mein,
Talaq ke kaagzon par apney dastkhat chadhatey hue,
Apni geeli kankhiyon se,
Merey asmanjas ko tatoltey!
Ab saalon beet gaye,
Par phir bhi, tumhare dil ka koi tukda,
Gar mere liye dhadakta hoga,
Jaisa mein apney bheetar mehsoos karta hun hamesha,
Toh calo aaj phir,
Hum tum,
Yaadon ke pedh se kisse kahaniyaan todhein!
Chalo phir se apne ghar mein chote bachcon sa Ghar-Gulla khelein!